Parveen Shakir Poetry Collection


Welcome To Fun Uploads Here You Will Find The Best Parveen Shakir Urdu Poetry Collection And The Most Famous Poem And Poetry Work By Parveen Shakir. Parveen Shakir is one of the most famous poets of our time. Her poetry is loved by many and her work has been translated into several languages. Her fame extends beyond her native Pakistan and she is revered by fans all over the world.

Parveen Shakir Famous Poetry

One of the things that makes Parveen Shakir's poetry so special is her use of language. She has a beautiful way with words and her poems are often filled with imagery and emotion. Her work often deals with themes of love, loss, and longing, and she has a unique ability to capture the human experience in a way that is both relatable and moving.

Badban Khulny Se Pahly Ka Ishara Dekhna - Parveen Shakir Poetry

 

Badban Khulny Se Pahly Ka Ishara Dekhna
Main Samander Dekhty Hun Tum Kinara Dekhna

Yun Bicharna Bhi Bahut Asaan Na Tha Us Se Magar
Jaty Jaty Us Kaa Wo Mur K Dubara Dekhna

Kis Shabahat Ko Liye Aya Hai Darwazy Pe Chaand
Ai Shaab-E-Hijraan Zara Apna Sitara Dekhna

Aine Ke Aankh He Kuch Kum Naa Thy Mery Liye
Jany Ab Kya Kya Dikhaayega Tumhara Dekhna

 

Kuch Tu Huwa Bhi Sard The Kch Tha Tera Khayal Bhi - Parveen Shakir Best Poetry

Kuch Tu Huwa Bhi Sard The Kch Tha Tera Khayal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malal Bhi
Baat Wo Aadhi Rat Ki Raat Wo Pory Chand Ki
Chand Bhi Ain Chait Ka Us Pe Tera Jmaal Bhi
Sab Se Nzar Bcha Ke Wo Mujh Ko Tha Aisy Dekhta
Ek Dfa To Ruk Gai Gardish E Mah O Sal Bhi
Dil To Chamk Saky Ga Kya Phir Bhi Tarash Ke Dekh Lo
Shisha Graan-E-Shehr Ky Hath Ka Ye Kmal Bhi
Os Ko Na Pa Saky Thy Jab Dil Ka Ajib Hal Tha
Ab Jo Palat Ky Dekhiye Bat Thi Kuch Muhal Bhi
Meri Talb Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahin Mila To Phir
Hath Dua Sy Yon Gira Bhool Gaya Swal Bhi
Sham Ki Nasamajh Hawa Poch Rahi Hai Ek Pta
Maujy Hawa-E-Ko-E-Yar Kuch To Mera Khayaal Bhi
Us Ky Hi Bazoun Main Aur Os Ko Hi Sochty Rahy
Jism Ki Khwahishon Py Thy Ruh Ky Aur Jaal Bhi

 

Main Kachi Neend Mein Hun - Parveen Shakir Poetry In Urdu

Main Kachi Neend Mein Hun
Aur Apne Neem Khawabeda Tanafas Mein Utartti
Chandni Ki Chap Sunti Hun
Guman Hai
Aaj Bhi Shaid Mere Mathy Pe
Tere Lab Sitaray Sabt Karte Hein

 

Aye Khuda - Parveen Shakir Shayari

Aye Khuda!
Mere Pyare Sipahi Ki Talwar Mein Zang Lagne Laga Hai
Azanon Se Pehle Jo Bedar Hoty Thy
Ab Din Charhy Tak
Chapr Khut Sy Nechy Utrty Nie
Dhoop Agr Sakht Ho Jaye
Barish Zara Taiz Ho Jaye Tu
Yah Jawan Saal
Ghar Se Nikalte Nien
Sarhadon Ke Nigehbaan Ab Kursiyon Ke Talbgar Hain
Apne Aaqa Kay Darbar Mein
Jonbeshe Chashm O Abro Ki Pihm Tilawat Mein Masroof Hain
Sir Khamidah Hain
Shany Bhi Aage Ko Nikly Huwy
Bs Nisab-E-Tamlk Ki Takmil Mein Munhamk!
Mera Dil Ro Pra Hai
Aye Khuda!
Mere Pyare Watan Pr Yeh Kaise Ghari Hai
Trashe Huey Jism
Aasaishon Main Pre
Apni Rehniyan Kho Rahe Hain
Zehn Ki Sari Yaksoi Mafqood Hai
Ahle Tebl-O-Elm
Ahle Jah-O-Chasm Ban Rahe Hain
Aur Is Baat Pr
Dekhti Hun K Magroor Hain
Aye Khuda!
Mere Pyare Sipahi Ko Sarhad Ka Rasta Dikha
Ishq-E-Amwal O Hub-E-Manasib Se Bahar Nikal
Is Ke Haathon Mein
Bholi Hue Taigh Phir Se Thama!

Gaye Baras Ki Eid Ka Din Kiya Acha Tha - Parveen Shakir Romantic Poetry

Gaye Baras Ki Eid Ka Din Kiya Acha Tha
Chand Ko Dekh Ke Uska Chehra Dekha Tha
Faza Mein Cactus Ke Lehje Ki Nermahat Thi
Mausam Apne Rang Mein Faiz Ka Mesrah Tha
Dua Ke Be-Awaz, Ulohi Lamhoon Mein
Woh Lamha Bhi Kitna Dilkash Lamha Tha
Haath Utha Ker Jab Aankhoon Hi
Aankhoon Mein
Uss Ne Mujh Ko Apne Rab Se Manga Tha
Phir Mere Chehre Ko Haatoon Mein Le Ker
Kitne Piyaar Se Mera Matha Chooma Tha
Hawa! Kuch Aj Ki Shab Ka Ahwaal Suna
Kiya Woh Apni Chat Per Aj Akeela Tha
Ya Koi Mere Jessi Saath Thi, Aur Uss Ne
Chand Ko Dekh Ke Uss Ka Chehra Dekha Tha

 

Be Faiz Rafaqat Mein Samar Kis Ke Liye Tha - Parveen Shakir Ghazal

Be Faiz Rafaqat Mein Samar Kis Ke Liye Tha
Jab Dhoop Thi Qismat To Shajar Kis Ke Liye Tha
Pardes Mein Sona Tha To Chatt Kis Liye Dali
Bahir Hi Nikalna Tha To Ghar Kis Ke Liye Tha
Jis Khaak Se Phoota Hai Usi Khaak Ki Khushbu
Pehchan Na Paya To Hunar Kis Ke Liye Tha
Aye Maadar E Geeti! Teri Hairat Bhi Baja Hai
Tere Hi Na Kaam Aaya To Sar Kis Ke Liye Tha
Youn Shaam Ki Dehshat Se Sar E Dasht E Irada
Rukna Tha,To Phir Sara Safar Kis Ke Liye Tha

Parveen Shakir Best Poetry

Kya Kare Meri Masihai Bhi Karne Waala
Zakhm Hi Yeh Mujhe Lagta Nahi Bharne Waala.

Jis Jagah Maalkin Banne Ke Dekhe The Maine Khwaab
Us Ghar Mein Ek Shaam Ki Mehmaan Bhi Na Thi.

Chehra O Naam Ek Saath Aaj Na Yaad Aa Sake
Waqt Ne Kis Shabih Ko Khwaab Or Khayaal Kar Diya.

Kal Raat Jo Indhan Ke Liye Kat Ke Gira Hai
Chidiyon Ko Bahut Pyaar Tha Us Budhe Shajar Se.

Bada Tera Intezaar Kiya
Apne Khwaabon Mein Ek Dulhan Ki Tarah.

Ek Sooraj Tha Ki Taaron Ke Gharane Se Utha
Aankh Hairan Hai Kya Shakhs Zamane Se Utha.

Kanton Mein Ghire Phool Ko Choom Aayegi Lekin
Titli Ke Paron Ko Kabhi Chilte Nahi Dekha.

Husn Ke Samajhne Ko Umar Chaahiye Jaanan
Do Ghadi Ki Chaahat Mein Ladkiyaan Nahi Khulti.

Haath Mere Bhool Baithain Dastakein Dene Ka Fan
Band Mujh Par Jab Se Us Ke Ghar Ka Darwaaza Hua.

Kabhi Kabar Use Dekh Len Kahin Mil Len
Ye Kab Keha Tha Ki Woh Khush-Badan Humara Ho.
Raay Pehle Se Banali Tune
Dil Mein Ab Hum Tere Ghar Kya Karte.

Maqtal-E-Waqt Mein Khaamosh Gawahi Ki Tarah
Dil Bhi Kaam Aaya Hai Gumnaam Sipaahi Ki Tarah.

Parveen Shakir Short Poetry

Mumkina Faislon Mein Ek Hijr Ka Faisla Bhi Tha
Hum Ne Toh Ek Baat Ki Us Ne Kamaal Kar Diya.

Woh Mujh Ko Chod Ke Jis Aadmi Ke Paas Gaya
Barabari Ka Bhi Hota Toh Sabr Aa Jaata.

Yahi Woh Din The Jab Ek Dusre Ko Paaya Tha
Humari Saalgirah Theek Ab Ke Maah Mein Hai.

Supurd Kar Ke Use Chandni Ke Hathon Mein
Main Apne Ghar Ke Andheron Ko Lautaungi.

Jis Tarah Khwaab Mere Ho Gaye Reza Reza
Us Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bikhre Koi.

Main Phool Chunti Rahi Aur Mujhe Khabar Na Hui
Woh Shakhs Aa Ke Mere Sheher Se Chala Bhi Gaya.

Kal Raat Jo Indhan Ke Liye Kat Ke Gira Hai
Chidiyon Ko Bahut Pyaar Tha Us Budhe Shajar Se.

Kaun Jaane Ki Nae Saal Mein Tu Kis Ko Padhe
Tera Meyar Badalta Hai Nisabon Ki Tarah.

Masla Jab Bhi Chirghon Ka Utha
Faisla Sirf Hawa Karti Hai.

Parveen Shakir Sad Poetry

Main Us Ki Dastaras Mein Hoon Magar Woh
Mujhe Meri Raza Se Mangta Hai.

Us Ne Jalti Hui Peshaani Pe Jab Haath Rakha
Rooh Tak Aa Gayi Taasir Mashaal Ki.

Aamad Pe Teri Itr Or Charagh Or Subha Na Hon
Itna Bhi Bud-O-Bash Ko Saada Nahi Kiya.

Tujhe Manaun Ki Apni Ana Ki Baat Sunun
Ulajh Raha Hai Mere Faislon Ka Reshum Phir.

Palat Kar Phir Yahin Aa Jaayenge Hum
Woh Dekhe Toh Humein Azad Kar Ke.

Mere Chehre Pe Ghazal Likhti Gayi
Sher Kehti Hui Aankhein Us Ki.

Tu Badalta Hai Toh Be Saakhta Meri Aankhein
Apne Hathon Ki Lakiron Se Ulajh Jaati Hain.

Baat Woh Aadhi Raat Ki Raat Woh Poore Chand Ki
Chand Bhi Hain Chait Ka Us Pe Tera Jamal Bhi.

Kaise Keh Doon Ki Mujhe Chod Diya Hai Us Ne
Baat Toh Sach Hai Magar Baat Hai Ruswai Ki.

Itne Ghane Baadal Ke Peeche
Kitna Tanha Hoga Chand.

Parveen Shakir Poetry In Urdu

Apni Ruswai Tere Naam Ka Charcha Dekhun
Ek Zara Sher Kahun Aur Main Kya Kya Dekhun.

Dene Waale Ki Mashiyyat Pe Hai Sab Kuch Mauquf
Mangne Waale Ki Haajat Nahi Dekhi Jaati.

Yun Dekhna Us Ko Ki Koi Aur Na Dekhe
Inaam Toh Accha Tha Magar Shart Kadi Thi.

Bojh Uthate Hue Phirti Hai Humara Ab Tak
Aye Zameen Maan Teri Yeh Umar Toh Aram Ki Thi.

Sirf Is Takabbur Mein Us Ne Mujh Ko Jeeta Tha
Zikr Ho Na Us Ka Bhi Kal Ko Narasaon Mein.

Isi Tarah Se Agar Chahta Raha Paihum
Sukhanvari Mein Mujhe Intikhab Kar Dega.

Woh Mere Paanv Ko Chumne Jhuka Tha Jis Lamhe
Jo Mangta Use Deti Ameer Aisi Thi.

Parvin Shaker Shayari - Parveen Shakir Love Poetry

Us Ke Yun Tark-E-Mohabbat Ka Sabab Hoga Koi
Jee Nahi Yeh Manta Woh Bewafa Pehle Se Tha.

Us Ne Mujhe Darasal Kabhi Chaha Hi Nahi Tha
Khud Ko De Kar Yeh Bhi Dhoka Dekh Liya Hai.

Hum Toh Samjhe The Ki Ek Zakhm Hai Bhar Jaayega
Kya Khabar Thi Ki Rag E Jaan Mein Utar Jaayega.

Qadmon Mein Bhi Thakan Thi Ghar Bhi Qarīb Tha
Par Kya Karein Ki Ab Ke Safar Hi Ajeeb Tha.

Ladkiyon Ke Dukh Ajab Hote Hain Sukh Us Se Ajeeb
Hans Rahi Hain Aur Kajal Bhigta Hai Saath Saath.

Woh Kahin Bhi Gaya Lauta Toh Mere Paas Aaya
Bas Yahi Baat Hai Acchi Mere Harjai Ki.

Tere Tohfe Toh Sab Acche Hain Magar Mauj-E-Bahar
Ab Ke Mere Liye Khushbu-E-Hina Laai Ho.

Gulabi Paanv Mere Chumpai Banane Ko
Kisi Ne Sahn Mein Mehndi Ke Baad Ugaai Ho.

Main Sach Kehungi Magar Phir Bhi Haar Jaaungi
Woh Jhoot Bolega Aur Laajawaab Kar Dega.

Best Poetry Of Parveen Shakir

Darvaza Jo Khola Toh Nazar Aaye Khade Woh
Hairat Hai Mujhe Aaj Kidhar Bhool Pade Woh.


Chalne Ka Hausla Nahi Rukna Muhaal Kar Diya
Ishq Ke Is Safar Ne Toh Mujh Ko Nidhaal Kar Diya.

Raat Ke Shayad Ek Baje Hain
Sota Hoga Mera Chand.

Kamal E Zabt Ko Khud Bhi Toh Azmaungi
Main Apne Haath Se Us Ki Dulhan Sajaaungi.

Kuch Faisla Toh Ho Ki Kidhar Jaana Chaahiye
Paani Ko Ab Toh Sar Se Guzar Jaana Chaahiye.

Jugnu Ko Din Ke Waqt Parakhne Ki Zid Karein
Bacche Humare Ahad Ke Chalak Ho Gaye.

Khud Apne Se Milne Ka Toh Yaara Na Tha Mujh Mein
Main Bheed Mein Gum Ho Gayi Tanhai Ke Dar Se.

Shab Ki Tanhai Mein Ab Toh Aksar
Guftugu Tujh Se Raha Karti Hai.

Rukhsat Karne Ke Adab Nibhane Hi The
Band Aankhon Se Us Ko Jaata Dekh Liya Hai.

Dheeme Suro Mein Koi Madhur Geet Chediye
Thehri Hui Hawaaon Mein Jaadu Bekheriye.

Ye Hawa Kaise Uda Le Gayi Anchal Mera
Yun Satane Ki Toh Aadat Mere Ghanshyam Ki Thi.

Parveen Shakir Romantic Poetry

Meri Chadar Toh Chini Thi Shaam Ki Tanhai Mein
Be-Ridai Ko Meri Phir De Gaya Tashir Kaun.

Woh Toh Khushbu Hai Hawaaon Mein Bikhar Jaayega
Masla Phool Ka Hai Phool Kidhar Jaayega.

Titliyan Pakadne Mein Door Tak Nikal Jaana
Kitna Accha Lagta Hai Phool Jaise Bacchon Par.

Kuch Toh Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayaal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Saath Saath Hota Raha Malaal Bhi.

Yun Bichadna Bhi Bahut Aasaan Na Tha Us Se Magar
Jaate Jaate Us Ka Woh Mud Kar Dobara Dekhna.

Bas Yeh Hua Ki Us Ne Takalluf Se Baat Ki
Aur Hum Ne Rote Rote Dupatte Bhigo Liye.

Jang Ka Hathiyaar Tay Kuch Aur Tha
Teer Seene Mein Utaara Aur Hai.

Poetry By Parveen Shakir

Woh Na Aayega Humein Maaloom Tha Is Shaam Bhi
Intezaar Us Ka Magar Kuch Soch Kar Karte Rahe.

Ajab Nahi Hai Ki Dil Par Jami Mili Kai
Bahut Dinon Se Toh Yeh Hauz Saaf Bhi Na Hua.

Thak Gaya Hai Dil-E-Vahshi Mera Fariyad Se Bhi
Ji Behelta Nahi Aye Dost Teri Yaad Se Bhi.

Dil Ajab Sheher Ki Jis Par Bhi Khula Dar Is Ka
Woh Musafir Ise Har Samt Se Barbad Kare.

Kuch Toh Tere Mausam Hi Mujhe Raas Kam Aaye
Aur Kuch Meri Mitti Mein Bagawat Bhi Bahut Thi.

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Ret Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi.

Abr Barse Toh Inayat Us Ki
Shakh Toh Sirf Dua Karti Hai.


FUn Uploads

Read More About Our Range Of Services

 

SMS Collection
Poetry Collection
Pakistani Song Lyrics
Mobile Updates
Find New Recipes
Online Jobs Search

Write For Us.

We're Always Looking For New Authors. If You're Interested, You Can Either Send Us Your Blog Or Send Us A Pitch.