Ibn-E-Insha Poetry Collection


Best Collection Of Ibn-E-Insha Poetry.

Ik Baar Kaho Tum Meri Ho - Ibn-E-Insha


Hum Ghoom Chuke Basti Ban Mai
Ik Aas Ki Phaans Liye Mann Mai
Koi Sajan Ho, Koi Pyaara Ho
Koi Deepak Ho, Koi Taara Ho
Jab Jeewan Raat Andheri Ho
Ik Baar Kaho Tum Meri Ho
Jab Sawan Baadal Chaaye Hon
Jab Phagan Phool Khilaaye Hon
Jab Chanda Roop Lutaata Ho
Jab Suraj Dhoop Nahaata Ho
Ya Shaam Ne Basti Gheri Ho
Ik Baar Kaho Tum Meri Ho
Haan Dil Ka Daman Phaila Hai
Kiyu Gori Ka Dil Maila Hai
Hum Kab Tak Peet Ke Dhoke Mai
Tum Kab Tak Dor Jharoke Mai
Kab Deed Se Dil Ko Sairi Ho
Ik Baar Kaho Tum Meri Ho
Kiya Jhagra Sood Khasaare Ka
Yeh Kaaj Nahi Banjaare Ka
Sab Sona Ropa Le Jaye
Sab Duniya, Duniya Le Jaye
Tum Ek Mujhe Bohteri Ho
Ik Baar Kaho Tum Meri Ho

 

Apne Hamarah Jo Aate Ho Idhar Se Pahale - Ibn-E-Insha

Apne Hamarah Jo Aate Ho Idhar Se Pahale
Dasht Padta Hai Miyan Ishq Mein Ghar Se Pahale
Chal Diye Uth Ki Su-E-Shahar-E-Vafa Ku-E-Habib
Puch Lena Tha Kisi Khak Basar Se Pahale
Ishq Pahale Bhi Kiya Hijr Ka Gham Bhi Dekha
Itane Tadape Hain Na Ghabraye Na Tarase Pahale
Jee Bahalata Hi Nahi Ab Koi Sa’at Koi Pal
Raat Dhalati Hi Nahi Char Pahar Se Pahale
Hum Kisi Dar Pe Na Thithake Na Kaheen Dastak Di
Saikadon Dar The Meri Jan Tere Dar Se Pahale
Chand Se Aankh Mili Jee Ka Ujala Jaga
Hum Ko Sau Bar Hui Subah Sahar Se Pahale
 

Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho - Ibn-E-Insha

Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho
Insha Saahab Naahaq Jii Ko Vahshat Men Uljhaate Ho
Dil Kii Baat Chhupaanii Mushkil,Lekin Khuub Chhupaate Ho
Ban Men Daanaa,Sha’hr Ke Andar Diivane Kehlaate Ho
Bekal Bekal Rahte Ho, Par Mehfil Ke Aadaab Ke Saath
Aankh Churaa Kar Dekh Bhii Lete Ho, Bhole Bhii Ban Jaate Ho

 

 

Kal Chodhween Ki Raat Thi - Ibn-E-Insha


Kal Chodhween Ki Raat Thi, Shab Bhar Raha Charcha Tera
Kuch Ne Kaha Yeh Chaand Hai, Kuch Ne Kaha Chehra Tera
Hum Bhi Wahen Mojood The, Hum Se Bhi Sab Poocha Kiye
Hum Hans Diye, Hum Chup Rahe, Manzoor Tha Pardaa Tera
Is Shehr Mai Kis Se Milen? Hum Se To Chootein Mehfilein
Har Shakhs Tera Naam Le, Har Shakhs Deewaana Tera
Kooche Ko Tere Chor Kar, Jogi Hi Ban Jayen Magar
Jungle Tere, Parbat Tere, Basti Teri, Sehraa Tera
Hum Aur Rasm-E-Bandagi? Aashuftagi? Uftaadgi?
Ahsaan Hai Kiya Kiya Tera, Ae Husn-E-Be’parwah Tera
Do Ashk Jane Kis Liye, Palkon Pe Aa Ke Tikk Gaye
Altaf Ki Barish Teri, Ikraam Ka Dariya Tera
Ae Be’daraigh-O-Be’amaan, Hum Ne Kabhi Ki Hai Faghan?
Hum Ko Teri Wehshat Sahi, Hum Ko Sahi Saudaa Tera
Hum Par Yeh Sakhti Ki Nazar? Hum Hain Faqeer-E-Raah Guzr
Rasta Kabhi Rokaa Tera? Daman Kabhi Thaama Tera?
Haan Haan Teri Surat Haseen, Lekin Tu Aesa Bhi Nahi
Is Shakhs Ke Ash’aar Se, Shohraa Hua Kiya Kiya Tera
Be’dard Sunni Ho To Chal, Kehta Hai Kiya Achi Ghazal
Ashiq Tera, Ruswa Tera, Shair Tera, INSHA Tera

 

Farz Karo - Ibn-E-Insha


Farz Karo Ham Ahl-E-Wafa Hon, Farz Karo Deewaane Hon,
Farz Karo Yeh Dono Baatain Jhooti Hon, Afsaane Hon
Farz Karo Yeh Nain Tumhare, Sach Much Ke Meh-Khane Hon,
Farz Karo Tumhen Khush Karne Ke Dhoondhe Ham Ne Bahane Hon
Farz Karo Yeh Jee Ki Bipta Jee Se Jor Sunai Ho
Farz Karo Abhi Aur Ho Itni, Aadhi Ham Ne Chupai Ho
Farz Karo Yeh Jog Be-Jog Ka, Dhong Hi Ham Ne Rachaya Ho,
Farz Karo Bas Yahi Haqeeqat, Baqi Sab Kuch Maya Ho
Farz Karo Yeh Rog Ho Jhoota, Jhooti Peet Hamari Ho,
Farz Karo Is Peet Ke Rog Mai Saans Bhi Ham Pe Bhari Ho.

FUn Uploads

Read More About Our Range Of Services

 

SMS Collection
Poetry Collection
Pakistani Song Lyrics
Mobile Updates
Find New Recipes
Online Jobs Search

Write For Us.

We're Always Looking For New Authors. If You're Interested, You Can Either Send Us Your Blog Or Send Us A Pitch.