Allama Iqbal Poetry Collection


Lab Pe Ati Hai Dua Ban K Tamnna Meri - Allama Iqbal

Lab Pe Ati Hai Dua Ban K Tamnna Meri
Zindagi Shamma Ki Surat Ho Khudaya Meri
Dur Duniya Ka Mere Dam Andhera No Jaye
Har Jagah Mere Chamakne Se Ujala Ho Jaye
Ho Mere Dam Se Yun Hi Mere Watan Ki Zinat
Jis Tarah Phul Se Hoti Hai Chaman Ki Zinat
Zindagi Ho Meri Parwane Ki Surat Ya Rab
Ilm Ki Shamma Se Ho Mujhko Mohabbat Ya Rab
Ho Mera Kam Garibon Ki Himayat Karna
Dard-Mandon Se Zaifon Se Mohabbat Karna
Mere Allah Burai Se Bachana Mujhko
Neik Jo Rah Ho Us Rah Pe Chalana Mujhko

 

Kabhi Ai Haqiqat-E-Muntazir Nazar A Libas-E-Majaz Mein - Allama Iqbal

Kabhi Ai Haqiqat-E-Muntazir Nazar A Libas-E-Majaz Mein
K Hazaron Sajde Tarap Rahe Hain Teri Jabin-E-Niyaz Mein
Tarab Ashna-E-Kharosh Ho Tu Nawa Hai Mahram-E-Gosh Ho
Wo Surur Kya K Chaya Hua Ho Sukut-E-Parda-O-Saz Mein
Tu Bacha Bacha K Na Rakh Ise Tera Aina Hai Wo Aina
K Shikasta Ho To Aziz Tar Hai Nigah-E-Aina-Saz Mein
Dam-E-Tauf Kar Mak-E-Shamma Na Ye Kaha Ke Wo Asr-E-Kohan
Na Teri Hikayat-E-Soz Mein Na Meri Hadis-E-Gudaz Mein
Na Kahin Jahan Mein Aman Mili Jo Aman Mili To Kahan Mili
Mere Jurm-E-Khanakharab Ko Tere Azo-E-Banda-Nawaz Mein
Na Wo Ishq Mein Rahin Garmiyan Na Wo Husn Mein Rahin Shokhiyan
Na Wo Gaznawi Mein Tarap Rahi Na Wo Kham Hai Zulf-E-Ayaz Mein
Jo Main Sar-Ba-Sajda Kabhi Hua To Zamin Se Ane Lagi Sada
Tera Dil To Hai Sanam-Ashana Tujhe Kya Milega Namaz Mein

 

Jinhen Main Dhundhta Tha Asmanon Mein Zaminon Mein - Allama Iqbal

Jinhen Main Dhundhta Tha Asmanon Mein Zaminon Mein
Wo Nikle Mere Zulmat-E-Khana-E-Dil K Makinon Mein
Mahine Wasl K Ghariyon Ki Surat Urte Jate Hain
Magar Ghariyan Judai Ki Guzarti Hai Mahinon Mein
Mujhe Rokega Tu Ai Nakhuda Kya Garq Hone Se
K Jin Ko Dubna Hai Dub Jate Hain Safinon Mein
Jala Sakti Hai Sham-E-Kushta Ko Mauj-E-Nafas Un Ki
Ilahi Kya Chupa Hota Hai Ahal-E-Dil K Sinon Mein
Tamanna Dard-E-Dil Ki Ho To Kar Khidmat Faqiron Ki
Nahin Milta Ye Gauhar Badshahon K Khazinon Mein
Muhabbat K Liye Dil Dhundh Koi Tutnewala
Ye Wo Mai Hai Jise Rakhte Hain Nazuk Abginon Mein
Bura Samajhun Unhen Mujh Se To Aisa Ho Nahin Sakta
K Main Khud Bhi To Hun "Iqbal" Apne Nuktachinon Mein


Gulzar-E-Hast-O-Bu Na Beganawar Dekh - Allama Iqbal


Gulzar-E-Hast-O-Bu Na Beganawar Dekh
Hai Dekhne Ki Chiz Ise Bar Bar Dekh
Aya Hai To Jahan Mein Misal-E-Sharar Dekh
Dam De Najaye Hasti-E-Napayedar Dekh
Mana K Teri Did K Qabil Nahin Hun Main
Tu Mera Shauq Dekh Mera Intzar Dekh
Kholi Hain Zauq-E-Did Ne Ankhein Teri To Phir
Har Rahguzar Mein Naqsh-E-Kaf-E-Pay-E-Yar Dekh

 

Ajab Waiz Ki Din-Dari Hai Ya Rab - Allama Iqbal

Ajab Waiz Ki Din-Dari Hai Ya Rab
Adawat Hai Ise Sare Jahan Se
Koi Ab Tak Na Ye Samjha K Insan
Kahan Jata Hai Ata Hai Kahan Se
Wahin Se Rat Ko Zulmat Mili Hai
Chamak Taron Ne Pai Hai Jahan Se
Ham Apni Dard-Mandi Ka Fasana
Suna Karte Hain Apne Razdan Se
Bari Barik Hain Waiz Ki Chalen
Laraz Jata Hai Awaz-E-Azan Se

 

Utho Meri Dunya K Garibon Ko Jaga Do - Allama Iqbal

Utho Meri Dunya K Garibon Ko Jaga Do
Khak-E-Umra K Dar-O-Diwar Hila Do
Garmao Gulamon Ka Lahu Soz-E-Yaqin Se
Kunjishk-E-Phiromaya Ko Shahin Se Lara Do
Sultani-E-Jamahur Ka Ata Hai Zamana
Jo Naqsh-E-Kuhan Tum Ko Nazar Aye Mita Do
Jis Khet Se Dahqan Ko Mayassar Nahin Rozi
Us Khet K Har Khosha-E-Gandum Ko Jala Do
Kyon Khaliq-O-Makhluq Mein Hayal Rahen Parde
Piran-E-Kalisa Ko Kalisa Se Hata Do
Main Nakhush-O-Bezar Hun Marmar K Silon Se
Mere Liye Mitti Ka Haram Aur Bana Do
Tahazib-E-Nawin Kargah-E-Shishagaran Hai
Adab-E-Junun Shayr-E-Mashriq Ko Sikha Do

 

Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-E-Makam Se Guzar - Allama Iqbal

Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-E-Makam Se Guzar
Misr-O-Hijaz Se Guzar, Paires-O-Sham Se Guzar
Jis Ka Amal Hai Be-Garaz, Us Ki Jaza Kuch Aur Hai
Hur-O-Khayam Se Guzar, Bada-O-Jam Se Guzar
Garche Hai Dilkusha Bahot Husn-E-Firang Ki Bahar
Tayarek Buland Bal Dana-O-Dam Se Guzar
Koh Shigaf Teri Zarab Tujhse Kushad Sharq-O-Garab
Teze-Hilahal Ki Tarah Aish-O-Nayam Se Guzar
Tera Imam Be-Huzur, Teri Namaz Be-Surur
Aisi Namaz Se Guzar, Aise Imam Smumkin Hai Ke Tu Jisako Samajhata Hai Baharan E Guzar

 

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun - Allama Iqbal

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hun
Sitam Ho K Ho Wada-E-Behijabi
Koi Bat Sabr-Azma Chahta Hun
Ye Jannat Mubarak Rahe Zahidon Ko
K Main Ap Ka Samna Chahta Hun
Koi Dam Ka Mehman Hun Ai Ahl-E-Mahfil
Chirag-E-Sahar Hun, Bujha Chahta Hun
Bhari Bazm Mein Raz Ki Bat Kah Di
Bara Be-Adab Hun, Saza Chahta Hun

 

Sitaron Se Age Jahan Aur Bhi Hain - Allama Iqbal

Sitaron Se Age Jahan Aur Bhi Hain
Abhi Ishq K Imtihan Aur Bhi Hain
Tahi Zindagi Se Nahin Ye Fazayen
Yahan Saikaron Karawan Aur Bhi Hain
Kanat Na Kar Alam-E-Rang-O-Bu Par
Chaman Aur Bhi, Ashiyan Aur Bhi Hain
Agar Kho Gaya Ek Nasheman To Kya Gam
Maqamat-E-Ah-O-Fugan Aur Bhi Hain
Tu Shahin Hai Parwaz Hai Kam Tera
Tere Samne Asman Aur Bhi Hain
Isi Roz-O-Shab Mein Ulajh Kar Na Rah Ja
K Tere Zamin-O-Makan Aur Bhi Hain
Gae Din K Tanha Tha Main Anjuman Mein
Yahan Ab Mere Razadan Aur Bhi Hain

 

Sakhtiyan Karta Hun Dil Par Gair Se Gafil Hun Main - Allama Iqbal

Sakhtiyan Karta Hun Dil Par Gair Se Gafil Hun Main
Hay Kya Achi Kahi Zalim Hun Main Jahil Hun Main
Hai Meri Zillat Hi Kuch Meri Sharafat Ki Dalil
Jis Ki Gaflat Ko Malak Rote Hain Wo Gafil Hun Main
Bazm-E-Hasti Apni Araish Pe Tu Nazan Na Ho
Tu To Ik Taswir Hai Mahfil Ki Aur Mahfil Hun Main
Dhundhata Phirta Hun Ai "Iqbal" Apne Ap Ko
Ap Hi Goya Musafir Ap Hi Manzil Hun Main

 

Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo - Allama Iqbal

Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo
Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo
Tum Ne B Suni Ho Gi Bari Aam Kahawat Hy
Anjam Ka Jo Ho Khatra Aghaz Badal Dalo
Pur-Soz Dilon Ko Jo Muskan Na De Paye
Sur Hi Na Mile Jis Mai Wo Saaz Badal Dalo
Dushman K Iradon Ko Hy Zahir Agar Karna
Tum Khel Wohi Khelo Andaz Badal Dalo
Ay Dost Karo Himat Kuch Door Sawera Hy
Agar Chahte Ho Manzil Tu Parwaaz Badal Dalo



FUn Uploads

Read More About Our Range Of Services

 

SMS Collection
Poetry Collection
Pakistani Song Lyrics
Mobile Updates
Find New Recipes
Online Jobs Search

Write For Us.

We're Always Looking For New Authors. If You're Interested, You Can Either Send Us Your Blog Or Send Us A Pitch.