Hafeez Jullundhary Poetry Collection


Best Collection Of Hafeez Jullundhary Poetry.

Agar Mauj Hai Bich Dhare Chala Chal - Hafeez Jullundhary

Agar Mauj Hai Bich Dhare Chala Chal
Wagarna Kinare Kinare Chala Chal
Isi Chal Se Mere Pyare Chala Chal
Guzarti Hai Jaise Guzare Chala Chal
Tujhe Sath Dena Hai Bahrupiyon Ka
Naye Se Naya Rup Dhare Chala Chal
Musalsal Buton Ki Tamanna Kiye Ja
Musalsal Khuda Ko Pukare Chala Chal
Tujhe To Abhi Der Tak Khelna Hai
Isi Mein To Hai Jit Hare Chala Chal

 

Ab To Kuch Aur Bhi Andhera Hai - Hafeez Jullundhary

Ab To Kuch Aur Bhi Andhera Hai
Ye Meri Rat Ka Sawera Hai
Rahzanon Se To Bhag Nikla Tha
Ab Mujhe Rahbaron Ne Ghera Hai
Age Age Chalo Tabar Walo
Abhi Jangal Bahut Ghanera Hai
Qafila Kis Ki Pairawi Mein Chale
Kaun Sab Se Bara Lutera Hai
So Raho Ab "Hafeez"Ji Tum Bhi
Ye Nai Zindagi Ka Dera Hai

 

Ai Dost Mit Gaya Hun Fana Ho Gaya Hun Main - Hafeez Jullundhary

Ai Dost Mit Gaya Hun Fana Ho Gaya Hun Main
Is Daur-E-Dosti Ki Dawa Ho Gaya Hun Main
Qayam Kiya Hai Maine Adam K Wajud Ko
Dunya Samajh Rahi Hai Fana Ho Gaya Hun Main
Himmat Buland Thi Magar Uftad Dekhna
Chupchap Aj Mahw-E-Dua Ho Gaya Hun Main
Ye Zindagi Fareb-E-Musalsal Na Ho Kahin
Shayad Asir-E-Dam-E-Bala Ho Gaya Hun Main
Han Kaif-E-Bekhudi Ki Wo Saat Bhi Yad Hai
Mahsus Kar Raha Tha Khuda Ho Gaya Hun Main

 

Dil Abhi Tak Jawan Hai Pyare - Hafeez Jullundhary

Dil Abhi Tak Jawan Hai Pyare
Kis Musibat Mein Jan Hai Pyare
Tu Mere Hal Ka Khayal Na Kar
Is Mein Bhi Ek Shan Hai Pyare
Rat Kam Hai Na Cher Hijr Ki Bat
Ye Bari Dastan Hai Pyare
Talkh Kar Di Hai Zindagi Jis Ne
Kitni Mithi Zaban Hai Pyare
Jane Kya Kah Diya Tha Roz-E-Azal
Aj Tak Imtihan Hai Pyare
Main Tujhe Bewafa Nahin Kahta
Dushmanon Ka Bayan Hai Pyare
Sari Dunya Ko Hai Galatfahmi
Mujh Pe Tu Mehraban Hai Pyare

 

Bargashta-E-Yazdan Se Kuch Bhul Hui Hai - Hafeez Jullundhary

Bargashta-E-Yazdan Se Kuch Bhul Hui Hai
Bhatke Hue Insan Se Kuch Bhul Hui Hai
Ta Hadd-E-Nazar Shole Hi Shole Hain Chaman Mein
Phulon K Nigehban Se Kuch Bhul Hui Hai
Jis Ahad Mein Lut Jaye Faqiron Ki Kamai
Us Ahad Ke Sultan Se Kuch Bhul Hui Hai
Hanste Hain Meri Surat-E-Maftun Pe Shagufe
Mere Dil-E-Nadan Se Kuch Bhul Hui Hai
Huron Ki Talab Aur Mai-O-Sagar Se Hai Nafrat
Zahid Tere Irfan Se Kuch Bhul Hui Hai

 

Khun Ban Kar Munasib Nahin Dil Bahe - Hafeez Jullundhary

Khun Ban Kar Munasib Nahin Dil Bahe
Dil Nahin Manta Kaun Dil Se Kahe
Teri Dunya Mein Aye Bahut Din Rahe
Sukh Ye Paya K Hamne Bahut Dukh Sahe
Bulbulen Gul K Ansu Nahin Chattein
Un Ko Apne Hi Margub Hain Chehchahe
Alam-E-Naza Mein Sun Raha Hun Main Kya
Ye Azizon Ki Chikhen Hai Ya Qehqahe
Is Naye Husn Ki Bhi Adaon Pe Ham
Mar Mitenge Basharte Ki Zinda Rahe

 

Koi Chara Nahin Dua K Siwa - Hafeez Jullundhary

Koi Chara Nahin Dua K Siwa
Koi Sunta Nahin Khuda K Siwa
Mujh Se Kya Ho Saka Wafa K Siwa
Mujh Ko Milta Bhi Kya Saza K Siwa
Dil Sabhi Kuch Zaban Par Laya
Ik Faqat Arz-E-Mudda K Siwa
Barsar-E-Sahil-E-Muqam Yahan
Kaun Ubhra Hai Nakhuda K Siwa
Dil Sabhi Kuch Zuban Par Laya
Ik Faqat Arz-E-Mudda K Siwa
Doston K Ye Mukhali Sana Tir
Kuch Nahin Meri Hi Khata K Siwa
Ye "Hafeez" Ah Ah Par Akhir
Kya Kahen Dost Wah Wah K Siwa

 

Koi Dawa Na De Sake, Mashwara Dua Diya - Hafeez Jullundhary

Koi Dawa Na De Sake, Mashwara Dua Diya
Charagaron Ne Aur Bhi Dil Ka Dard Barha Diya
Zauq-E-Nigah K Siwa Shauq-E-Gunah K Siwa
Mujhko Khuda Se Kya Mila Mujhko Buton Ne Kya Diya
Thi Na Khizan Ki Rok-Tham Daman-E-Ikhtiyar Mein
Hamne Bhari Bahar Mein Apna Chaman Luta Diya
Husn-E-Nazar Ki Abaru Sanat-E-Brahaman Se Hai
Jisko Sanam Samajh Liya Usko Khuda Bana Diya
Dag Hai Mujhpe Ishq Ka Mera Gunah Bhi To Dekh
Uski Nigah Bhi To Dekh Jisne Ye Gul Khila Diya

 

Koi Dawa Na De Sake, Mashwara Dua Diya - Hafeez Jullundhary

Koi Dawa Na De Sake, Mashwara Dua Diya
Tujh Ko Tera Nasib Rulaye Khuda Kare
Raton Mein Tujh Ko Nind Na Aye Khuda Kare
Tu Dar-Ba-Dar Ki Thokren Khaye Khuda Kare
Aye Bahar Tere Gulistan Mein Bar Bar
Tujh Par Kabhi Nikhar Na Aye Khuda Kare
Meri Tarah Tujhe Bhi Jawani Mein Gam Mile
Tera Na Koi Sath Nibhaye Khuda Kare
Manzil Kabhi Bhi Pyar Ki Tujh Ko Na Mil Sake
Tu Bhi Dua Ko Hath Uthaye Khuda Kare
Tujh Par Shab-E-Wisal Ki Raten Haram Hon
Shammein Jala Jala K Bujhaye Khuda Kare
Ho Jayen Bad-Duayen Meri Dosto Galat
Ab Un Pe Koi Harf Na Aye Khuda Kare

 

Ye Kya Muqam Hai Wo Nazare Kahan Gaye - Hafeez Jullundhary

Ye Kya Muqam Hai Wo Nazare Kahan Gaye
Wo Phul Kya Huye Wo Sitare Kahan Gaye
Yaran-E-Bazm-E-Jurrat-E-Rindana Kya Hui
Un Mast Ankhariyon K Ishare Kahan Gaye
Ek Aur Daur Ka Wo Taqaza Kidhar Gaya
Umre Huye Wo Hosh K Dhare Kahan Gaye
Uth Uth K Baith Chuki Gard Rah Ki
Yaro Qafile Thake Hare Kahan Gaye
Betab Tere Dard Se The Charagar "Hafeez"
Kya Janiye Wo Dard K Mare Kahan Gaye

FUn Uploads

Read More About Our Range Of Services

 

SMS Collection
Free Games Online
Poetry Collection
Pakistani Song Lyrics
Mobile Updates
Find New Recipes
Online Jobs Search

Write For Us.

We're Always Looking For New Authors. If You're Interested, You Can Either Send Us Your Blog Or Send Us A Pitch.