Best Collection Of Amjad Islam Amjad Poetry.
Jo Tum Nay Thaan Hi Li Hai 
                        Humaray Dil Se Niklo Gay 
                        Too Itna Jaan Lo Jaanan...
                        Samandar Samnay Ho Ga Ager Sahil Se Niklo Gay 
                        Sitaray Jin Ki Aankhon Nay, Humain Ik Sath Dekha Tha 
                        Gawahi Denay Aain Gay 
                        Puranay Kagzoon Ki Balkooni Se Bohat Se Lafz Jhankain Gay 
                        Tumhain Wapis Bulain Gay 
                        Kai Waday, Fasadi Qarz Khawahoon Ki Tarah Tumhain Rastay Main Rookain Gay 
                        Tumhain Daman Se Pakrain Gay 
                        Tumhari Jaan Khain Gay 
                        Chupa Ker Kis Tarah Chera 
                        Bhari Mehfil Se Niklo Gay 
                        Zara Phir Soch Lo Janan 
                        Nikal Too Jao Gay Shayad 
                        Magar Mushkil Se Niklo Gay
Uss Nay Mujh Say Kaha
                        Merey Saathi;
                        Tum Ko Mujh Say Jo Hay Gilah
                        Kiya Hay??
                        Kabhi Fursat Milay Tou Yeh Socho,
                        Manzilein Kiyun Hain?Faslah Kiya Hay?
                        Apnay Apnay Safar Peh Niklay Log
                        Mushtarik Raastoon Peh Chaltay Hain
                        Hamrahi Kay Hisaar Main Jitnay
                        Din Nikaltay,Chiragh Jaltay Hain
                        Apni Apni Ummid Kay Dar-O-Baam
                        Zindagi Kay Safar Main Miltay Hain
                        Mustaqil Dard,Aarzi Aaraam
                        Tum Meray Hamsafar Tou Ho Lekin
                        Hum Kahin Say Bichar Bhi Saktay Hain
                        Dair Tak Aik Taveel Rastay Per
                        Saath Tou Ajnabi Bhi Chaltay Hain
Chand K Sath Kai Dard Purane Nikle
                        Kitne Gam The Jo Tere Gam Ke Bahane Nikle
                        Fasl-E Gul Ai Phir Ik Bar Asiran-E-Vafa
                        Apne Hi Khun K Dariya Main Nahane Nikle
                        Hijr Ki Chot Ajab Sang-Shikan Hoti Hai
                        Dil Ki Befaiz Zaminon Se Khazane Nikle
                        Umr Guzri Hai Shab-E-Tar Main Ankhain Malte
                        Kis Ufaq Se Mera Khurshid Na Jane Nikle
                        Ku-E-Qatil Main Chale Jaise Shahidon Ka Julus
                        Khvab Yuu Bhigti Ankhon Ko Sajane Nikle
                        Dil Ne Ik Int Se Tamir Kiya Taj Mahal
                        Tu Ne Ik Bat Kahi Lakh Fasane Nikle
                        Dasht-E Tanhai-E-Hijrann Main Khara Sochta Hun
                        Haye Kya Log Mera Sath Nibhane Nikle
                        Main Ne 'Amjad' Use Bevasta Dekha Hi Nahi
                        Vo To Khushbu Main Bhi Ahat Ke Bahane Nikle
Kisi Ke Aankh Jo Purnam Nahi Hai
                        Na Samajho Ye Ke Us Ko Gham Nahi Hai
                        Savad-E-Dard Mein Tanha Khada Hun
                        Palat Jaun Magar Mausam Nahi Hai
                        Samajh Mein Kuch Nahi Aata Kisi Ke
                        Agarche Guftagu Mubaham Nahi Hai
                        Sulagata Q Nahi Tarik Jangal
                        Talab Ke Lau Agar Maddham Nahi Hai
                        Ye Basti Hai Sitam Paravar Digan Ke
                        Yahan Koi Kisi Se Kam Nahi Hai
                        Kinara Dusara Dariya Ka Jaise
                        Wo Sathi Hai Magar Maharam Nahi Hai
                        Dilon Ke Roshni Bujhane Na Dena
                        Vajud-E-Tiragi Mahakam Nahi Hai
                        Main Tum Ko Chah Kar Pachata Raha Hun
                        Koi Is Zakhm Ka Maraham Nahi Hai
                        Jo Koi Sun Sake ‘Amjad’ To Suna Dena
                        Ba-Juz Ek Baz Gasht-E-Gam Nahi Hai
Sath Tu Ajnabhi Bhi Chalte Hein
                        Us Ne Muje Kaha
                        Mery Sathi!
                        Tum Ko Muj Se Jo Gila Hai…Kaya Hai!
                        Kabhi Fursat Milay Tu Ye Socho
                        Manzilain Kiyn Hein? Fasla Kaya Hai?
                        Apne Apne Safar Per Niklay Log
                        Mushtarik Rasto Pay Chalte Hein
                        Humer He K Khisar Mein Jitne
                        Din Nikalte Hein Chiragh Jalte Hein
                        Apni Apni Umeed K Daro Baam
                        Zindagi K Safar Mein Milte Hein
                        Mustaqil Dard Arzi Araam
                        Tum Mere Hamsafr To Ho Lakin
                        Hum Kahin Se Bichar Bhi Sakte Hein
                        Dair Tak Ik Taveel Raste Per
                        Sath Tu Ajnabhi Bhi Chalte Hein
Jo Zakhm Tu Nay Diye Thay Woh Bhertay Jatay Hain
                        Charhay Hoay Thay Jo Dariya Utartay Jatay Hain
                        Yeh Ahel_E_Shahr_E_Wafa Hain Ajab Bahar Parust
                        Sarooo Kay Phool Faseelo’n Pay Dhertay Jatay Hain
                        Nahi Hai Aur Tu Kuch Bhi Hamaray Hatoo’n Main
                        Siva_Ye_Arz_E_Tamman Na So Kertay Jata Hain
                        Ajeeb Loog Hain , Yeh Ahel_E_Intezaar Kay Jo
                        Khud Apni Aag Main Jul Kar Sa’nwertay Jatay Hain
                        Najanay Kaun Si Basti Kay Hain Yeh Bashindey!
                        Nazar Uthatey Nahi Aur Guzertay Jatay Hain
                        Yeh Aaj Shaher Pay Utri Hay Kis Bala Ki Raat
                        Charaagh Apni Lawoo’n Say Mukertay Jatay Hain
                        Darakht Shaam Ko Lagtay Hain Shaher Say Amjad
                        Kay Shaakh Shaakh Parinday Utartay Jatay Hain